Mera Pyar Kabhi Yaad Aaye toh Mere Paas Laut aana
Beete Dino ka Khayal Sataye toh Mere Paas laut Aana
Jab Safar Khatam ho aur Jiske liye Mujhe Chhoda hai Wo Bi Sath Chhod Jaye
Or Manzil bhi na Mil Paye toh Mere Paas Laut Aana
Phir Duniya Ke Hajoom Mein Jab Nazar Na aaye koi Apna
aur Tanhai Se Jo Dil Ghabraye Toh Mere Paas laut aana
Wafai ka jo Kabhi tum se Khele Wo Khel
Aur Dil Koi Chont Khaye To Mere Paas Laut aana
Guzarenge tamam Umar Teri Raah mein Bichha kar Ankhein
Mere Pyar ki Geharai ka Ehsas kabi ho Jaye
Toh Mere Paas Laut Aana...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment